Saturday 13 August 2011

Doorie

Ishq tha ibtaayda pehle hi deed mein,
Palat ke jo vo muskuraaye,humko humi se cheen ke,
Kuch keh rahe the humse,hai yeh humaari yaad mein,
Humko to kya khabar,hum to the nashe mein pyaar ke,
Aankhein the itni nasheeli,koi kya jawaab de,
Hum to bas rahe ik tak taakte,baaki sab kuch bhool ke,
Zulfein thi jaise resham,khud ko inhi mein chupa dein,
Kho jaayein in mein yu ki jo daryaaft na ho sakein,
Itni haseen koi ho sake,mumkin nahi is duniya mein,
Khata koi jo ki hogi,tabhi jannat se ayi ho is jahaan mein,
Chehre pe vo masoomiyat,koi kaise na ho ghayal pyaar mein,
Khud pe nahi aata yakeen,hakeekat ho ya khwaab ho,
Ek dafa jo choo lo mujhe,ki jeene ka ehsaas ho,
Husn ki ho dastaan,jannat ki koi hoor ho,
Bay had ko kya kare koi byaan,tum to khuda ki tasveer ho,
Jaa rahi ho chor ke,apne ishq ki zanjeeron mein,
Kaise jiyenge ab jab jaanke,ki tum nahi ho saamne,
Ek pal bhi tumhaare bagaair hai dozakh ke samaan,
Meri to dharkan tumhi ho,tumhi meri jaane jahaan,
Ik ik pal sadiyo sa hai,jo jeena pare tere bina,
Ab jo zindagi de ke ,yu na kar humko khud se juda,
Aaja vaapas meri baahon mein,ye ankhein dekhein tera raasta,
Doorie ye khatam karde,bas yahi meri iltjaah.

No comments:

Post a Comment